bichhaDna rasm-e-ulfat hai karishma ho nahin sakta

By umar-alamMarch 1, 2024
bichhadna rasm-e-ulfat hai karishma ho nahin sakta
tu meri ho nahin sakti main tera ho nahin sakta
suno main bhi to insan hun mujhe bhi dard hota hai
ye tum se kaun kahta hai ki ladka ro nahin sakta


ye mahfil hai mohabbat ki tere misron mein nafrat hai
kaha jo she'r tu ne wo mukarrar ho nahin sakta
wo suraj aur charaghon ka sahaara bhi nahin leta
jo rah-e-haq pe chalta hai kahin wo kho nahin sakta


sukhan se munsalik hun main mera markaz mohabbat hai
dilon mein bij nafrat ke kabhi main bo nahin sakta
34775 viewsghazalEnglish