bichhaDna yar se aasan bhi nahin hota
By sajid-raheemFebruary 28, 2024
bichhadna yar se aasan bhi nahin hota
phir aise jurm ka tawan bhi nahin hota
ye dukh nahin ki main har ek se ulajhta hun
ye fikr hai ki pasheman bhi nahin hota
musibaton mein use kaam aate dekha hai
wo shakhs jis pe koi man bhi nahin hota
suna hai us pe kai jaan se bhi jate hain
main jaisi baat pe hairan bhi nahin hota
hamara rasta kyon rokte hain sab rahzan
hamare pas to saman bhi nahin hota
har ek shai ki yahan qimaten muqarrar hain
yahan to muft mein nuqsan bhi nahin hota
ye kab kaha hai ki har aadmi farishta ho
sitam to ye hai ki insan bhi nahin hota
mera bhi dil hai kisi roz sair ko niklun
magar ye shahr to sunsan bhi nahin hota

36311 viewsghazal • English