bichhadne wale ka kyunkar na gham kiya jae ye bojh aisa nahin hai ki kam kiya jae ab intizar karen kya kisi muarrikh ka chalo ye waqia khud hi raqam kiya jae main ek bar nahin bar bar hansta hun kisi tarah to udasi ko kam kiya jae koi sabil nahin pyas ko bujhane ki siwae is ke ki aankhon ko nam kiya jae ye khud se milne milane ki ek surat hai ki rabta zara duniya se kam kiya jae wo aur honge jo insaf chahte hain tera gunahgar hun mujh par karam kiya jae