bigaDti baat hamein hi banani paDti hai
By abhishek-jainFebruary 5, 2024
bigadti baat hamein hi banani padti hai
isi liye to haqiqat chhupani padti hai
miyan ye 'ishq hai aasan nahin samajhna ise
ki is mein jaan ki bhi bazi lagani padti hai
koi bhatak na sake mara mara duniya mein
wafa ki rah hamein hi dikhani padti hai
hunar ki qadr kahan karta hai jahan ab to
yahan pe apni hi qimat ghatani padti hai
mohabbaton ka nibhana kabhi na kam jaano
ki apni daw pe 'izzat lagani padti hai

12617 viewsghazal • English