bikhar gae hain jo hum kaenat ki surat

By basit-azeemJanuary 2, 2024
bikhar gae hain jo hum kaenat ki surat
to jawedan hi rahenge hayat ki surat
jo musta'ar fazaon mein sans lete hain
na dekh paenge mere sabaat ki surat


har ek zakhm-e-tamanna hara-bhara hai abhi
har ek zakhm hai zakhm-e-hayat ki surat
yahi hain maslahat-ameziyan zamane ki
juda rahe hain jo din aur raat ki surat


mita mita ke zamana bana raha hai mujhe
ubhar raha hun main naqsh-e-hayat ki surat
shikast shab ne na mani abhi andhera hai
abhi sahar pe musallat hai raat ki surat


raqam kiya hai wahi kuchh lahu se hum ne bhi
mila hai jo bhi hamein tajrabaat ki surat
charagh apne lahu ke jala ke hum ne 'azim'
sahar-misal bana di hai raat ki surat


62623 viewsghazalEnglish