bikhar jaenge hum kya jab tamasha khatm hoga mere mabud aakhir kab tamasha khatm hoga charagh-e-hujra-e-darwesh ki bujhti hui lau hawa se kah gai hai ab tamasha khatm hoga kahani mein nae kirdar shamil ho gae hain nahin malum ab kis dhab tamasha khatm hoga kahani aap uljhi hai ki uljhai gai hai ye uqda tab khulega jab tamasha khatm hoga zamin jab adl se bhar jaegi nurun-ala-nur ba-nam-e-maslak-o-mazhab tamasha khatm hoga ye sab kath-putliyan raqsan rahengi raat ki raat sahar se pahle pahle sab tamasha khatm hoga tamasha karne walon ko khabar di ja chuki hai ki parda kab girega kab tamasha khatm hoga dil-e-na-mutmain aisa bhi kya mayus rahna jo khalq utthi to sab kartab tamasha khatm hoga