bila matlab koi aata nahin tha

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
bila matlab koi aata nahin tha
hamare ghar mein darwaza nahin tha
mere talab se gahra nahin tha
wo kuchh bhi tha magar dariya nahin tha


samundar is liye barham tha mujh se
main sahra tha magar pyasa nahin tha
mukammal jab hui taswir meri
to koi dekhne wala nahin tha


jo kanton par kitaben likh rahe the
koi un mein barahna-pa nahin tha
sadarat aur nizamat ke 'alawa
meri mahfil mein kuchh hota nahin tha


lakiren roz ginwati hain mujh se
meri taqdir mein kya kya nahin tha
85969 viewsghazalEnglish