bin tere dil ke nagar ko main basaun kaise
By abdullah-minhaj-khanAugust 28, 2024
bin tere dil ke nagar ko main basaun kaise
tujh ko dulhan main banaun to banaun kaise
zindagi mujh ko meri qabr pe le aai hai
aana chahun main tere pas to aaun kaise
bewafai ki sifat us ki nahin jati hai
apne dil ka use ham-raaz banaun kaise
ai khuda tu ne mere 'aib chhupa rakkhe hain
ai khuda main tera ehsan chukaun kaise
wo to patthar hai use kuchh na samajh aaegi
dastan us ko sunaun to sunaun kaise
jab mera rab hi 'ata karta hai mujh ko sab kuchh
ghair ke dar pe jabin apni jhukaun kaise
sath rahta nahin 'minhaj' hamesha wo bhi
mujh se rutha hai mera 'aks manaun kaise

15098 viewsghazal • English