bina manzil ke raston ka safar apna raha hai
By umood-abrar-ahmadMarch 1, 2024
bina manzil ke raston ka safar apna raha hai
mere dil mein wo yak-tarfa mohabbat la raha hai
nahin ye jaanta nadaniyan apni hain us ki
bada bechain sa dil hai jo us par aa raha hai
nahin rukta hai roke se bada ma'sum dil hai
use apna banane par tula hi ja raha hai
gham-e-furqat ka andaza laga sakta nahin wo
taghaful mein kai maujon se jo takra raha hai
ki jab dekha zamane mein 'ajab 'alam ye dekha
jise dekha wo hasrat mein mara hi ja raha hai

10500 viewsghazal • English