bisat-e-waqt pe wo chaal chal raha hun main
By mohsin-changeziJanuary 4, 2024
bisat-e-waqt pe wo chaal chal raha hun main
ki apni 'umr se aage nikal raha hun main
guman tak nahin us ko mere taghayyur ka
kuchh is saliqe se khud ko badal raha hun main
nashe ki mauj mein ye bhi na ho saka ma'lum
ki ye to aag ki lapten masal raha hun main
khud apni did ki khwahish hai mujh ko muddat se
khud apne hijr ki hiddat mein jal raha hun main
yahi to hai mere idrak ki saza 'mohsin'
siraat-e-be-khabari par jo chal raha hun main

84622 viewsghazal • English