bojh hasti ka utar jaega aaKHir ek din

By jameel-azimabadiJanuary 15, 2022
bojh hasti ka utar jaega aakhir ek din
waqt chupke se guzar jaega aakhir ek din
shakh-e-gul par ye gul-e-tar ki hifazat kab tak
ek jhonke se bikhar jaega aakhir ek din


mere nale ko na yun tum nazar-andaz karo
arsh tak is ka asar jaega aakhir ek din
hausla hai to phir andesha-e-farda kaisa
kaam bigda bhi sanwar jaega aakhir ek din


chand phulon ke tabassum pe qanaat kaisi
bagh hi sara nikhar jaega aakhir ek din
96663 viewsghazalEnglish