bu-e-nasim se kabhi baad-e-shimal se kasb-e-nashat karta hun tere jamal se jaan-dada-e-latafat-e-zikr-e-habib ko raghbat nahin fasana-e-jah-o-jalal se us husn-e-be-hijab ki shadabiyan na puchh goya ki be-niyaz hai fikr-e-maal se ye aish kash ishrat-e-jawed ho sake pahlu mein dil dhadakta hai khauf-e-zawal se jal uthte hain hasin diye aarzuon ke aiwan-e-gham mein aaj bhi tere khayal se gah gah mitata hun gham-e-dauran ki talkhiyan yaqut-rang honton ke aab-e-zulal se mahtab-wash nikharti hain afsurda shokhiyan us chehra-e-sabih pe aks-e-malal se