buDhe qissa-go ki sans ukhaDti thi
By abid-razaFebruary 17, 2025
budhe qissa-go ki sans ukhadti thi
raat ki chhat pe nili shabnam padti thi
dur kahin the feel-sawar khala-zade
raste mein suraj ki basti padti thi
bagh mein jadu-garni ek khurshid-laqa
pahron apne husn pe khub akadti thi
raat kadakti barq ki dahshatnak ani
aankh ki putli mein ja ja ke gadti thi
ek tajir-zadi se dil ka sauda tha
bante bante ek dam baat bigadti thi
jannat ke haq-daron ko is duniya mein
roti bhi mushkil se puri padti thi
gori ke sanduq mein ummidon ke bich
surkh moshajjar ki poshak sikudti thi
aankh khuli to jin tha aur na anguthi
qismat apna khali hath ragadti thi
raat ki chhat pe nili shabnam padti thi
dur kahin the feel-sawar khala-zade
raste mein suraj ki basti padti thi
bagh mein jadu-garni ek khurshid-laqa
pahron apne husn pe khub akadti thi
raat kadakti barq ki dahshatnak ani
aankh ki putli mein ja ja ke gadti thi
ek tajir-zadi se dil ka sauda tha
bante bante ek dam baat bigadti thi
jannat ke haq-daron ko is duniya mein
roti bhi mushkil se puri padti thi
gori ke sanduq mein ummidon ke bich
surkh moshajjar ki poshak sikudti thi
aankh khuli to jin tha aur na anguthi
qismat apna khali hath ragadti thi
79216 viewsghazal • English