bujha chuki hai hawa jis ko wo diya bhi main magar ye dekh bahut der tak jala bhi main tawil dhup ki shiddat hawaon ki yurish sahi bhi main ne sar-e-dasht-e-gham khila bhi main mile qayam ke ahkaam bhi mujhi ko yahan masafaton ka parastar ek tha bhi main mere nasib mein patjhad ke raston ka safar sada-bahaar dayaron se aashna bhi main mujhi se aai thi milne udas chandni raat agar ye jaanta hota to jagta bhi main meri taraf thin kabhi barishen bhi phulon ki hisar-e-sang-o-sada mein ghira hua bhi main ye sochta hun kahun khud ko 'qasmi'! main kya? sukut bhi mere andar bahut sada bhi main