bujhane mein hawaon ki shararat kam nahin hoti magar jalte hue dipak ki shiddat kam nahin hoti koi ja ke bata de un zara nadan logo ko lagane se kabhi pahre mohabbat kam nahin hoti nasha aisa chadha ulfat ka teri mujh pe ai hamdam agar main chah lun phir bhi mohabbat kam nahin hoti main suljhati hun ek mushkil to duji samne aae meri is zindagi se kyun musibat kam nahin hoti jidhar dekhun wahin charcha hai mandir aur masjid ka jahan se sochti hun kyun jahaalat kam nahin hoti yahi main parashn karti hun akele baith kar 'jyoti' sabab kya hai zamane se ye nafrat kam nahin hoti