bujhe bujhe hue dagh-e-jigar ki baat na kar bhadak uthega ye shoala sahar ki baat na kar bas ek bar mohabbat se dekhne wale ye wo karam hai ki bar-e-digar ki baat na kar taras na jaen kahin rang-o-bu ko ahl-e-chaman gulon ko dekh ke zakhm-e-jigar ki baat na kar mata-e-dard badha aur muskurae ja shab-e-firaq numud-e-sahar ki baat na kar naya nahin hai ye hangama ahl-e-dil ke liye sukut-e-aina-e-khud-naigar ki baat na kar kahan kahan se guzarna hai be-niyazana nazar se dekh shuur-e-nazar ki baat na kar ye phul hain mere 'nashtar' jigar ke dagh nahin fareb-khurda-e-shabnam guhar ki baat na kar