bujhti aankhon mein hasin KHwab kahan aate hain

By hamza-bilalFebruary 26, 2024
bujhti aankhon mein hasin khwab kahan aate hain
ab sar-e-baam wo mahtab kahan aate hain
bazm-e-aghyar mein baitha hun tamasha ban kar
dil dukhane mere ahbab kahan aate hain


hath rakh leta hun dil par main tadap kar dekho
mujh ko bhi hijr ke aadab kahan aate hain
hum se diwane mayassar hi nahin duniya ko
sip mein gauhar-e-nayab kahan aate hain


is mohabbat ke safar mein hai aziyyat 'hamza'
dasht ke bich mein talab kahan aate hain
68354 viewsghazalEnglish