bul-hawas kam-fahm hai wo aadmi nadan hai

bul-hawas kam-fahm hai wo aadmi nadan hai
jo ye samjha ishq kuchh mushkil nahin aasan hai

kab main kahta hun ki meri jaan meri jaan hai
aap ki hai banda-parwar aap par qurban hai

be-khudi ke baad kya guzri nahin kuchh bhi khabar
jalwa-gah-e-naz tak pahuncha bas itna dhyan hai

kis ke jalwe se hai be-khud anjuman ki anjuman
har bashar taswir hai har aaina hairan hai

mushaf-e-rukhsar-e-jaanan par numud-e-khat nahin
dekhne walo ye hai tafsir wo quran hai

us jagah pahuncha jahan qudsi bhi ja sakte nahin
dar-haqiqat aadmi ki shan bhi kya shan hai

us ke bande bandagi karte hain lekin ai buto
tum khudai kar rahe ho ye khuda ki shan hai

kya chhupoge tum wahan wo kuchh tumhaara ghar nahin
hashr ka maidan aakhir hashr ka maidan hai

aarzu mitne ki thi rah-e-talab mein mit chuke
aur ab ai hazrat-e-dil kahiye kuchh arman hai

aadmi to sab hi kahlate hain lekin khalq mein
us ka rutba aur hai jo aadmi insan hai

'sabir'-e-asi ke isyan kyun na bakhshega khuda
wo bada ghaffar hai sattar hai rahman hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close