buland itna ghubar-e-karwan rakhte to achchha tha

By musavvir-karanjaviJanuary 21, 2022
buland itna ghubar-e-karwan rakhte to achchha tha
muqabil kahkashan ke kahkashan rakhte to achchha tha
kahin shabnam ki be-qadri kahin sabze ki pamali
chaman se dur apna aashiyan rakhte to achchha tha


agar ye aastan-e-yar par sajda nahin achchha
to phir ai dil jabin apni kahan rakhte to achchha tha
sar-e-mai-khana aakhir saya-e-abr-e-siyah kab tak
saron par saya-e-pir-e-mughan rakhte to achchha tha


shua-e-mahr shabnam ki baqa kya chhin sakti thi
ye qatre khud mein zarf-e-be-karan rakhte to achchha tha
jigar ahl-e-hawas ka chir dete tanz ke nashtar
zaban par tum hamari dastan rakhte to achchha tha


nazar aata 'musawwir' ye bhi rukh taswir-e-gulshan ka
numayan is mein kuchh rang-e-khizan rakhte to achchha tha
99001 viewsghazalEnglish