buniyaad-e-jahan mein kaji kyun hai

By shahryarNovember 18, 2020
buniyaad-e-jahan mein kaji kyun hai
har shai mein kisi ki kami kyun hai
kyun chehra-e-khar shagufta hai
aur shakh-e-gulab jhuki kyun hai


wo wasl ka din kyun chhota tha
ye hijr ki raat badi kyun hai
jis baat se dil mein halchal hai
wo baat labon pe ruki kyun hai


mat dekh ki kaun hai parwana
ye soch ki shama jali kyun hai
na the khwab to aansu hi hote
mera kasa-e-chashm tahi kyun hai


23645 viewsghazalEnglish