bura hi kya tha jo aap apni misal hote kamal hote kisi tarah se jo tute rishte bahaal hote kamal hote ye laila majnun ye hir ranjha ye shirin farhad ki mohabbat thi aisi shiddat kahin jo un ke visal hote kamal hote padha nahin tha nisab-e-ulfat amal mein aage the har kisi se samajhti duniya agar hamein be-misal hote kamal hote wo mujh se milta khamosh rahta khamoshiyon par hi dad pata magar jo nazron se munfarid se sawal hote kamal hote ye kya ki tanhaiyon se rishta bana ke khud ko ganwa liya hai sama ke mujh mein jo aap mera jamal hote kamal hote jise bhi dekha usi ko dawa-e-husn karte suna gaya hai jahan bhar mein hasin agar khal-khal hote kamal hote nasib apna sukhanwaron mein hamari ginti na ho sakegi 'umar' adakar hum agar ba-kamal hote kamal hote