burida bazuon mein wo parind lala-bar tha shikariyon ke ghol mein ajib intishaar tha hare phalon ko todti hui hawa guzar gai bujhi bujhi faza mein har darakht sogwar tha safar ka aakhiri padaw aa gaya tha aur main jo ham-safar bichhad rahe the un pe ashk-bar tha gae the hum bhi bahr ki tahon mein jhumte hue har ek sip ke labon mein sirf regzar tha dhuli dhuli faza mein ho gai abas wo justuju ki manzar-e-nazar-nawaz to pas-e-ghubar tha dam-e-sahar na jaane jaane kaun aa gaya use rawan the ashk ankhdiyon se hath mein sitar tha jo waqt aa gaya tamam tir tutte gae usi nai kaman pe to mujhe bhi e'tibar tha baras rahi thi aag is dayar-e-sang mein magar mere lahu mein gul-fishan wo champai azar tha ajib thi sarisht bhi hamare dhan pan ki kabhi to bahr-e-be-karan kabhi sarab-zar tha