but-parasti pe jo apna dil-e-nashad aaya
By alamgir-khan-kaifJanuary 1, 2024
but-parasti pe jo apna dil-e-nashad aaya
sang-rezo mein nazar husn-e-khuda-dad aaya
meri dar tak jo kabhi wo sitam-ijad kiya
panw chaukhat pe na rakhe the ki ghar yaad aaya
'arsh se aa ke farishton ne sanbhaala mujh ko
girte girte jo tera nam mujhe yaad aaya
aaina taq se utra hi khuda khair kare
naz-o-andaz sikhane unhen ustad aaya
ba'd marne ke lahad mein jo laga hone 'azab
yaad kya kya na mujhe wo sitam-ijad aaya
to aman dahr mein ulfat se hua main paida
'ishq hamrah mere surat-e-ham-zad aaya
dil mein go lakh the shikwe magar un ke aage
aise khoe gae kuchh bhi na hamein yaad aaya
be-sutun par jo kabhi jaun main wo 'ashiq hun
naqsh-e-shirin se sada aai ki farhad aaya
is qadar khauf-e-asiri hai mere gulshan mein
apne sae ko samajhta hun ki sayyaad aaya
meri wahshat se na un ko kahin sauda ho jae
puchhte phirte hain ek ek se fassad aaya
qumriyon ke liye suli se siwa sarw hua
sair-e-gulshan ko jo wo ghairat-e-shamshad aaya
odh kar surkh dupatta mujhe mara us ne
ban ke mirrikh meri qatl ko jallad aaya
arghawan zar-e-chaman khet bana kushton ka
aaj gulzar mein aisa koi jallad aaya
aur to kaun musibat mein khabar leta hai
jab kaleja bhi na munh ko dam-e-fariyaad aaya
meri wahshat ne mere ghar ko banaya bazar
kabhi fassad sudhaara kabhi haddad aaya
'kaif' ka haal 'ajab tha gham-e-tanhai se
bach gae jaan jo us dam wo pari-zad aaya

63760 viewsghazal • English