butan-e-mah-wish ujDi hui manzil mein rahte hain

butan-e-mah-wish ujdi hui manzil mein rahte hain
ki jis ki jaan jati hai usi ke dil mein rahte hain

hazaron dagh pinhan aashiqon ke dil mein rahte hain
sharar patthar ki surat un ki aab-o-gil mein rahte hain

zamin par panw nafrat se nahin rakhte pari-paikar
ye goya is makan ki dusri manzil mein rahte hain

mohabbat mein maza hai chhed ka lekin maze ki ho
hazaron lutf har ek shikwa-e-baatil mein rahte hain

khuda rakkhe salamat jin ko un ko maut kab aae
tadapte lotte hum kucha-e-qatil mein rahte hain

hazaron hasraten wo hain ki roke se nahin ruktin
bahut arman aise hain ki dil ke dil mein rahte hain

yahan tak thak gae hain chalte chalte tere hathon se
ki ab chhup chhup ke nawak sina-e-bismil mein rahte hain

na dekhe honge rindon se bhi tu ne pak ai zahid
ki ye be-dagh mai-khane ki aab-o-gil mein rahte hain

muhit-e-ishq ki har mauj tufan-khez aisi hai
wo hain girdab mein jo daman-e-sahil mein rahte hain

khuda rakkhe mohabbat ne kiye aabaad donon ghar
main un ke dil mein rahta hun wo mere dil mein rahte hain

jo hoti khub-surat to na chhupti qais se laila
magar aise hi waise parda-e-mahmil mein rahte hain

hamare sae se bachta hai har ek bazm mein us ki
hamein dekho ki hum tanha bhari mahfil mein rahte hain

suragh-e-mehr-o-ulfat ghair ke dil mein na paenge
abas wo raat din is sai-e-be-hasil mein rahte hain

buton ko mahram-e-asrar tu ne kyun kiya ya rab
ki ye kafir har ek khalwat-sara-e-dil mein rahte hain

falak dushman hua gardish-zadon ko jab mili rahat
ziyaada rah se khatke mujhe manzil mein rahte hain

tan-asani kahan taqdir mein hum dil-girafton ki
khuda par khub raushan hai ki jis mushkil mein rahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close