buzdil hain to is raste se jate hi nahin hain
By ananth-faaniFebruary 25, 2024
buzdil hain to is raste se jate hi nahin hain
hum aap ko tu kah ke bulate hi nahin hain
khinchoge jo dhaga to udhad jaega sara
hum log tabhi haal batate hi nahin hain
zinda nazar aane ki numaish pe na jao
hum marte hain har waqt dikhate hi nahin hain
is shahr ke bachchon se kahen kuchh to kahen kya
alfaz inhen koi bhi aate hi nahin hain
is ghar ki safai mein bahut kaam hai 'fani'
aur aap hain jo hath batate hi nahin hain

90620 viewsghazal • English