chaak par girya-kunan aise meri KHak hui
By tasnim-abbas-quraishiMarch 1, 2024
chaak par girya-kunan aise meri khak hui
matami dast-e-hunar aankh bhi namnak hui
farsh par chaak ghumaya gaya kis ki khatir
ghair-ma’muli si aahat sar-e-aflak hui
kuza-gar dekh ki hairan hai takhliq apni
soch ke chaak se surat kahin chaalak hui
meri 'uryani ka hal khub nikala us ne
chaak ki khak hi aakhir meri poshak hui
kuza-gar sharm se 'tasnim' hai pani pani
is qadar khak meri chaak pe bebak hui

59797 viewsghazal • English