chaar samton mein nazar rakhta hun main chaaron par

By shaheen-abbasMarch 1, 2021
chaar samton mein nazar rakhta hun main chaaron par
tir kab laut ke aaenge kaman-daron par
subh uthe to qadam koela the aur hum the
nind mein chalte rahe hijr ke angaron par


dastan mein jahan ek daimi din hota tha
ab wahan sham utar aati hai kirdaron par
naqsh-e-ibrat ka sab asbab uthaya khud hi
hum ne ye kaam bhi chhoda unhin diwaron par


saya-dari ki riwayat bhi kahan aa pahunchi
mauj-e-khun chhanw kiye rakhti hai talwaron par
ab khula khwab mein kuchh khwab milata tha main
khak udata tha main sayyaron ki sayyaron par


raat ke tutte taron mein hamein rakha gaya
hamein parkha gaya girte hue meayaron par
55769 viewsghazalEnglish