chaha jin ko bhi zindagi ki tarah wo mile mujh ko ajnabi ki tarah mujh ko ilham ho gaya shayad baat karta hun ek nabi ki tarah jaane kitne sawal ubhre hain jab bhi socha hai falsafi ki tarah sara manzar nikharta jata hai kaun hansta hai aap hi ki tarah khub charcha hai go saweron ka raat phir bhi hai raat hi ki tarah waqt ki baat hai ki ab tum bhi hum se milte ho ajnabi ki tarah ye darindon ka shahr hai is mein kaun milta hai aadmi ki tarah