chahat ghamze jata rahi hai wahshat sahra dikha rahi hai ghunchon ka jigar hila rahi hai bulbul kya gul khila rahi hai yusuf ka pata laga rahi hai khushbu kanan mein aa rahi hai shirin kya rang la rahi hai 'ashiq ka lahu baha rahi hai kis shokh ko dijiye dil-e-zar kis mein sahab wafa rahi hai aawaza-e-faiz hai jahan mein jis ki shohrat sada rahi hai dain hai pari-washon ki furqat dil kha ke kaleja kha rahi hai jaan nazr hui pari-rukhon ki mitti ko hawa uda rahi hai chahat ki kashish ne lo dubo di yusuf ko kunen jhuka rahi hai dil mein jo base hue hain gul-ru surkhi aankhon mein chha rahi hai gahta hun jabin ko pa-e-but se taqdir likha mita rahi hai hanste hue dekh kar gulon ko shabnam aansu baha rahi hai andher ka aaj samna hai surma wo pari laga rahi hai kyun jaan nahin nikalti 'agha' kaise sadme utha rahi hai