chahat ke ab ifsha-kun-e-asrar to hum hain kyun dil se jhagadte ho gunahgar to hum hain ru aaine ko dete ho bar-aks hamare aaina rakho talib-e-didar to hum hain gulshan mein ajab jate ho kar husn ki tazin is jins-e-dil-ara ke kharidar to hum hain kya kabk ko dikhlate ho andaz-e-khiram aah hasrat-zada-e-shokhi-e-raftar to hum hain ki chashm su-e-nargis-e-bimar to phir kya is ain inayat ke saza-war to hum hain dil de ke dil-azar ko kya shikwa-e-bedad gar sochiye apne liye aazar to hum hain jis din se phanse dekhi na phir shakl-e-rihai kya kahiye 'nazir' aise giraftar to hum hain