chahat ki lau ko maddham kar deta hai dar jata hai milna kam kar deta hai jaldi achchhe ho jaane ka jazba bhi zakhmon ko waqf-e-marham kar deta hai maut to phir bhi apne waqt pe aati hai maut ka aadha kaam to gham kar deta hai sau ghazlen hoti hain aur mar jati hain ek misra tarikh raqam kar deta hai dil mein aise dukh ne dera dala hai aisa dukh jo aankhen nam kar deta hai sabr ka daman hathon se mat jaane do sabr dilon ki wahshat kam kar deta hai