chahe jugnu ki sitara ki guhar mein rahna tum bahar-rang bahar-shakl nazar mein rahna thak ke raste mein kahin baith na jaana rahi chalte rahna ki muqaddar hai safar mein rahna tere ek roz ke didar mein hai kitni kashish roz ka kaam hua teri dagar mein rahna khubsurat to bahut hai ye tera ganw magar koi din aa ke hamare bhi nagar mein rahna maut ke baad phir ek gardish-e-paiham ki khabar tute patton ka hawaon ke bhanwar mein rahna azhdaha bhid ka phir tum ko nigal jaega dur hona to bas itna ki nazar mein rahna ek dhadka sa laga rahta hai barish mein 'asir' ghar mein rahte hue aasan nahin ghar mein rahna