chahta jo bhi hai wo kah ke guzar jata hai

By aalam-nizamiOctober 6, 2022
chahta jo bhi hai wo kah ke guzar jata hai
dil-e-hassas is ehsas se mar jata hai
zehn mein baat buzurgon ki tabhi baithti hai
jab jawani ka nasha sar se utar jata hai


jab ana meri zarurat ka gala ghontti hai
rang khud-dari ke chehre ka utar jata hai
dasne lagti hai meri khana-badoshi mujh ko
jab koi panchhi kabhi sham ko ghar jata hai


jhuti tarif se hoti hai masarrat us ko
aaina koi dikha de to biphar jata hai
jurm karta hai koi aur yahan par aalam
aur ilzam kisi aur ke sar jata hai


98225 viewsghazalEnglish