chal pade hum dasht-e-be-saya bhi jangal ho gaya ham-safar jab mil gae jangal mein mangal ho gaya main tha baghi khushk qatra baadalon ke des ka sang-dil lamhon se takraya to jal-thal ho gaya han utar aati hain is wadi mein pariyan chand ki kahte hain ek ajnabi sayyah pagal ho gaya ras bhari barsat mein khilne laga dharti ka rup jism ka aakash us khushbu se bekal ho gaya dur khiski ja rahi hai panw ke niche zamin sar ke upar aasman aaankhon se ojhal ho gaya kitne qarnon ne tarasha us but-e-bedard ko kitni naslon ka lahu us jism mein hal ho gaya umr bhar donon ko qaid-e-bahami ki di saza wo jo ighwa ka muqadma tha so faisal ho gaya har nafas hai sang-bari dil ke kachche ghaw par lamha lamha zindagi ka kitna bojhal ho gaya