chali mastanon ki Toli ki ab mausam badalta hai
By swati-sani-reshamFebruary 29, 2024
chali mastanon ki toli ki ab mausam badalta hai
hai rangon se bhari jholi ki ab mausam badalta hai
chaman mein shor-o-ghul hai aur rangon ki hain barsaten
biraj mein aaj hai hori ki ab mausam badalta hai
sada koyal ki jab aae shajar pe baur bhar aae
mahak uthti hai amrai ki ab mausam badalta hai
bichhaune lag gae chhat par sitare 'arsh par chhae
surahi bhi bhari rakkhi ki ab mausam badalta hai
ghata wadi pe ghir aati hawa mein tazgi lati
papihe ne sada de di ki ab mausam badalta hai
koi bijli kahin chamki koi badri kahin barsi
suhani sham sawan ki ki ab mausam badalta hai
padi jo bund barish ki to sondhi mitti mahki yun
chaman mahka kali chatki ki ab mausam badalta hai
chali aati hain subhen ab gulabi odhni pahne
saji phulon se hai dharti ki ab mausam badalta hai
sitare muskuraate hain falak pe jhilmilate hain
hawa mein khunki hai thodi ki ab mausam badalta hai
kabhi jab sham dhal jae hawa jab sard ho jae
bhari ho chae ki pyali ki ab mausam badalta hai
umangen aur jawan raaten kabhi sho'la kabhi shabnam
pa ab zulfon mein hai chandi ki ab mausam badalta hai
wahi gul tha wahi khushbu magar gulshan bana dushman
khizan aai chali aandhi ki ab mausam badalta hai
dhanak ke rang bikhra do mohabbat jag jaegi
zamane ko sikha degi ki ab mausam badalta hai
dilon mein qaid the tanha ye mausam chahaton ke sab
mohabbat ne sada de di ki ab mausam badalta hai
gulon se rang-o-bu chun kar saja le zindagi 'resham'
mahakti raat ki rani ki ab mausam badalta hai

24177 viewsghazal • English