chaliye kahin sahra hi mein ab khak udaen basti mein to sab jal gain khwabon ki ridaen bechain hai muztar hai pareshan hai ye ruh kab tak ise ehsas ki suli pe chadhaen aankhon mein padhi jati hai sail ki zarurat chehre se suni jati hain khamosh sadaen main waqt ki raftar ka rukh mod raha hun wo log jo darte hain mere sath na aaen munh mod rahe hain jo 'ziya' jahd-o-amal se ja kar dar-e-taqdir ki zanjir hilaen