chalna unhen gawara nahin KHak-dan par

By khizr-nagpuriMay 7, 2022
chalna unhen gawara nahin khak-dan par
rakh de koi utha ke zamin aasman par
jaise jahan mein koi gunahgar hi nahin
bas ek hamara nam hai sab ki zaban par


us ko bhi koi us ki tarah se na dhoka de
aae na aisa waqt mere mehrban par
hum to bas ek nigah mein pahchan jate hain
chalte hain khote sikke kahan har dukan par


khairaat apne husn ki sadqa jamal ka
sail khada hua hai tumhaare makan par
ki fikr jis ne jaan ki mara gaya wahi
wo bach gaya jo khel gaya apni jaan par


tufan mein 'khizr' naw hai to kar khuda ko yaad
itna bharosa achchha nahin baadban par
17971 viewsghazalEnglish