chalne ka hausla nahin rukna muhaal kar diya ishq ke is safar ne to mujh ko nidhaal kar diya ai meri gul-zamin tujhe chah thi ek kitab ki ahl-e-kitab ne magar kya tera haal kar diya milte hue dilon ke bich aur tha faisla koi us ne magar bichhadte waqt aur sawal kar diya ab ke hawa ke sath hai daman-e-yar muntazir banu-e-shab ke hath mein rakhna sambhaal kar diya mumkina faislon mein ek hijr ka faisla bhi tha hum ne to ek baat ki us ne kamal kar diya mere labon pe mohr thi par mere shisha-ru ne to shahr ke shahr ko mera waqif-e-haal kar diya chehra o nam ek sath aaj na yaad aa sake waqt ne kis shabih ko khwab o khayal kar diya muddaton baad us ne aaj mujh se koi gila kiya mansab-e-dilbari pe kya mujh ko bahaal kar diya