chalte chalte sathi koi bichhDa to afsos hua
By irfan-aazmiFebruary 6, 2024
chalte chalte sathi koi bichhda to afsos hua
hathon se jab hath kisi ka chhuta to afsos hua
kitni naw dubo kar hum ne dariya ka rukh badla tha
mod pe aa kar sukh gaya jab dariya to afsos hua
dil ka karb chhupane ka fan mushkil hai aasan nahin
hanste hanste us ko rota dekha to afsos hua
ye mat puchho un se kya kya ummiden wabasta thin
patthar se takra ke shisha tuta to afsos hua
duniya ki be-rah-rawi par pahron socha karta tha
aaj zara apne bare mein socha to afsos hua
duniya ki mauhum faza mein kya kya kuchh hum bhul gae
bhule se 'irfan' koi yaad aaya to afsos hua

42739 viewsghazal • English