chamak jugnu ki barq-e-be-aman malum hoti hai

By January 1, 2017
chamak jugnu ki barq-e-be-aman malum hoti hai
chamak jugnu ki barq-e-be-aman malum hoti hai
qafas mein rah ke qadr-e-ashiyan malum hoti hai
kahani meri rudad-e-jahan malum hoti hai
jo sunta hai usi ki dastan malum hoti hai


sahar tak sai-e-nala raegan malum hoti hai
ye duniya to ba-qadr-e-yak-fughan malum hoti hai
kisi ke dil mein gunjaish nahin wo bar-e-hasti hon
lahad ko bhi meri mitti giran malum hoti hai


khizan ke waqt bhi khamosh rahti hai faza sari
chaman ki patti patti raaz-dan malum hoti hai
hawa-e-shauq ki quwwat wahan le aai hai mujh ko
jahan manzil bhi gard-e-karwan malum hoti hai


taraqqi par hai roz-afzun khalish dard-e-mohabbat ki
jahan mahsus hoti thi wahan malum hoti hai
qafas ki tiliyon mein jaane kya tarkib rakkhi hai
ki har bijli qarib-e-ashiyan malum hoti hai


na kyun 'simab' mujh ko qadr ho virani-e-dil ki
ye buniyaad-e-nashat-e-do-jahan malum hoti hai
53119 viewsghazalEnglish