chamakta tha bahut aflak mein dil

By ziyaul-hasanJune 18, 2022
chamakta tha bahut aflak mein dil
so aakhir mil gaya hai khak mein dil
bahut maghrur tha aazadgi par
bandha hai husn ke fitrak mein dil


tumhaari justuju mein gum hua hai
tadapta tha hamari khak mein dil
chamakta hai hamari ruh mein kya
sitara hai ki hai aflak mein dil


kisi ke husn par mamur aankhen
bithaya hai kisi ki tak mein dil
karenge hum bhi apni aag raushan
dabaya hai badan ki rakh mein dil


69393 viewsghazalEnglish