chamakti aankh mein sahra dikhai saf deta hai mere lahje mein sannata sunai saf deta hai main ek asrar-e-matam lakh khud mein gum hua jaun magar sina kisi shai ki duhai saf deta hai wo kya kya baat karta hai na ek pal bhi bichhadne ki magar lahja ki ehsas-e-judai saf deta hai safen yun to muqabil dushmanon ki hain magar un mein ajab ek mehrban chehra dikhai saf deta hai main aa pahuncha hun ai 'bani' ajab andhi jagah mana hai ab bhi ek rasta jo sujhai saf deta hai