chamakti hui dhup tezi se nikli

By zehra-nigaahMarch 1, 2024
chamakti hui dhup tezi se nikli
guzarti hui barishon ko bulane
hawaon ne zid ki ki hum bhi chalenge
lagin thandaken apne paikar sajaane


mili thi khabar mausamon ko kahin se
kisi kunj-e-gulshan mein hain do diwane
wo barson ke ba'd aaj yakja hue hain
jo biti hai ek dusre ko sunane


darakhton ne jhuk jhuk ke ta'zim bakhshi
badhe sabza-o-gul bhi aankhen bichhane
kabhi un ke chehron ko barish ne chuma
kabhi un ka daman basaya saba ne


kabhi un ki aankhon mein suraj ne jhanka
kabhi dal di un pe chadar ghata ne
96667 viewsghazalEnglish