chaman ki bulbulen hain sogwar muddat se

By tariq-islam-kukraviMarch 1, 2024
chaman ki bulbulen hain sogwar muddat se
har ek chashm hai su-e-bahaar muddat se
hamare dil ki lagi ko bujhaiye aa kar
bhadak rahe hain musalsal sharar muddat se


tumhaari yaad se dil ko qarar hai lekin
tumhaare aane ka hai intizar muddat se
du'aon ko mere maula tu pur-asar kar de
khada hai dar pe tere khaksar muddat se


har ek tabib ki tadbir be-asar nikli
kahin mila nahin dil ko qarar muddat se
hamara shajra bhi milta hai us ke shajre se
wo jis ka dil mein bana hai mazar muddat se


wo dur jata hai 'tariq' to jaan jati hai
wo jis pe aap ko aata hai pyar muddat se
23363 viewsghazalEnglish