chaman mein dahr ke har gul hai kan ki surat har ek ghuncha hai us mein zaban ki surat nahin hai shikwa agar wo nazar nahin aata kisu ne dekhi nahin apni jaan ki surat kahen to sab hain jahan ko rabaat-e-kohna wale hamesha hai gi nai is makan ki surat jo dekhta hai so pahchanta nahin, aisi badal gai hai dil-e-na-tawan ki surat jo nikli baize se bulbul to hui asir-e-qafas na dekhi khol ke aankh aashiyan ki surat agar hazar musawwir khayal dil mein karen kabhu na khinch saken us ki aan ki surat falak ke khwan upar us ki tang-chashmi se kabhu nazar na padi mehman ki surat ghadi ghadi mein badalta hai rang ai 'hatim' hamesha bu-qalamun hai jahan ki surat