chaman mein lala-o-gul par nikhaar bhi to nahin
By suroor-barabankviNovember 22, 2020
chaman mein lala-o-gul par nikhaar bhi to nahin
khizan agar ye nahin hai bahaar bhi to nahin
tamazat-e-gham-e-dauran se phunk rahi hai hayat
kahin pe saya-e-gesu-e-yar bhi to nahin
khayal-e-tark-e-mohabbat baja sahi lekin
ab apne dil pe hamein ikhtiyar bhi to nahin
kabhi to jaan-e-wafa hai kabhi hai dushman-e-jaan
teri nazar ka koi e'tibar bhi to nahin
ba-in taghaful-e-paiham sitam to ye hai 'surur'
main us ki khatir-e-nazuk pe bar bhi to nahin

28023 viewsghazal • English