chaman mein rah ke gulon par jab iKHtiyar na ho

By mauj-rampuriMarch 20, 2021
chaman mein rah ke gulon par jab ikhtiyar na ho
to wo chaman kabhi sharminda-e-bahaar na ho
koi jahan mein azmat bahaar ki na kare
agar hamara gareban hi tar tar na ho


ye bhed khul nahin sakta hai ahl-e-zahir par
koi junun-e-mohabbat ka raazdar na ho
abhi to aisi hazaron shaben guzarni hain
asir-e-sham-e-alam itna be-qarar na ho


wahi ki jis ki qayaadat karen ghalat rahbar
wo karwan kabhi manzil se ham-kanar na ho
mera jahan-e-tamanna ujadne wale
tabahiyon pe meri dekh sharmsar na ho


wafa-shiar wafa ka na kar kabhi izhaar
agar wafa ka zamane ko e'tibar na ho
na lun panah junun ki to kya karun hamdam
kisi tarah bhi mere dil ko jab qarar na ho


gali mein rahne ka do izn-e-mustaqil mujh ko
sukun wo chah raha hun jo mustaar na ho
phir aane wale hawadis se kaun khelega
safina daman-e-sahil se ham-kanar na ho


yahi bahaar agar hai to 'mauj' mumkin hai
junun ke hath ko daman pe ikhtiyar na ho
12289 viewsghazalEnglish