chaman se dur hawa ki aman se bahar
By baqar-naqviJanuary 2, 2024
chaman se dur hawa ki aman se bahar
kiya hai hum ne basera udan se bahar
gharon mein ghus ke hawa tod-phod karti rahi
khadi thi dhup magar saeban se bahar
wo hum hi the jo hawa mein charagh le ke chale
qadam hamin ne nikale makan se bahar
padi hain hathon mein 'ahd-e-du'a ki hathkadiyan
wagarna hum bhi gae the makan se bahar
tumhaare shahr se achchha hamara jangal hai
zara nikal ke to dekho machan se bahar
bichhad ke tum se to hum aise tut-phut gae
shikasta tir ho jaise kaman se bahar
wo khwahishon ka samundar zaban se 'ari
wo pure chand ka manzar bayan se bahar
'ata hui hamein 'baqar' labon ki aazadi
par ek lafz na nikla zaban se bahar

47364 viewsghazal • English