chand bartan hain chaarpai hai

By tuaqeer-chughtaiMarch 1, 2024
chand bartan hain chaarpai hai
yahi daulat yahi kamai hai
pyar karte hain zindagi tujh se
jaante hain ki tu parai hai


zakhm nikhrega dard bolega
us ki khushbu kahin se aai hai
us ko todo ki ab use phando
tum ne diwar khud banai hai


khwab kaise koi mukammal ho
nind aai na maut aai hai
ai mohabbat wahan khuda hi nahin
tu ne gardan jahan jhukai hai


phone par ho ki sirf chae par
kya milan hai ye kya judai hai
kaise 'tauqir' sha'iri ho bhala
jab wafa hai na bewafai hai


85297 viewsghazalEnglish