chand chhune ke tasawwur se machal jata hun

By aftab-shahFebruary 23, 2025
chand chhune ke tasawwur se machal jata hun
tujh ko sochun to usi waqt bahal jata hun
tum wo dhaga ho jo lipta hai mere sine se
aag lagti hai tumhein aur main jal jata hun


din ko saya sa bhatakta hun badan-zaron mein
raat padte hi kisi ruh mein dhal jata hun
na-khudaon se khudaon ke bharose pe sada
hadisa hota nahin aur badal jata hun


waise faulad hun ziddi hun iradon mein magar
samne ho wo to lamhon mein pighal jata hun
jis mein ghibat ko mohabbat se nikhaara jae
aisi majlis se sar-e-dast nikal jata hun


kar ke paband khuli aankh zamane ke liye
sochen izhaar ki chup-chap nigal jata hun
jaane kis karb se guzre hain mohabbat wale
un ki chikhon ko jo sunta hun dahal jata hun


dard badhta hai to lagta hai ki jaan le lega
teri aaghosh mein simtun to sanbhal jata hun
10793 viewsghazalEnglish